Mohsin Ayub's Poetry Collection

woh jaa jaa ke milte rahe apne yaaron se
humne gila bhi kiya to kiya dewaaron se

oo dewaane kahaan dhoondhne nikle hoo tum
nahin milta pyaar sheher main bazaaron se

phoolon ki hasrat lekar hum gulshan ko nikle the
aur kaante dil main lekar laute hum gulzaaron se

dil tota bhi aakhir to kis ki wajah se
ab kaise kahen hum apne ghamgusaaron se

ek aadat hogae hai ab chiraag jalane ki
so guzar hota hi rehta hai mazaaron se

oo dewaane dekh ke chal ye sar-e-rah hai
ye suna kal raat humne baadakhwaaron se

The message is ready to be sent with the following file or link attachments:
woh jaa ke milte rahe apne yaaron se

Note: To protect against computer viruses, e-mail programs may prevent sending or receiving certain types of file attachments. Check your e-mail security settings to determine how attachments are handled.

Deewan:

Leave a Reply

Poetry Opinions