koi to hai jo mere khwaabon main basa hai
warnaa ye dil mera usse bulata kyun hai
koi to hai jo mere liye bhi dua karta hai
warnaa ye dil ansoo chupata kyun hai
koi to hai jo meri rah par bhi chalta hai
warnaa meri yadoon main woh aata jaata kyun hai
koi to hai jo mujhe bhi acha lagta hai
warnaa meri ghazal asar aata kyun hai
koi to hai jo mujhe bhi yaad rakhta hai
warnaa mere labon ko woh naam satata kyun hai
koi to hai jo mujh se pardadaar hai
warnaa woh raaz mujhe tarpaata kyun hai
koi to hai jis ke daman main meri neend likhi hai
warnaa woh aanchal saari raat jagata kyun hai
koi to hai jo pareshaan hai meri wajah se
warnaa is tarah se woh kangan ghumata kyun hai
koi to hai joo sharmaata hai mujhse abhi bhi
warnaa woh har baar parda bech main laata kyun hai
koi to hai joo jaag raha hai mere liye bhi
warnaa koi meri neend leejata kyun hai
koi to hai jis aawaaz par marta hai MUHSIN
warnaa woh roz roz payal chankata kyun hai
koi to hai joo toot kar chahta hai mujhe
warnaa MUHSIN wafa nibhata kyun hai
koi to hai jis ki aankhen kuch kehna chahti hain
warnaa waqt mujhe usse baar baar milata kyun hai
koi to hai jis ke shabistan ka deedaar baaqi hai
warnaa waiz mujhe qayamat se darata kyun hai
koi to hai jis se nighaaen nahin mil paati hain
warnaa mera dil ussi ko chahta kyun hai
koi to hai jis ka rukh gulaab jaisa hai
warnaa ye mausum geet sunata kyun hai
koi to hai jo juda ho kar mujh se roo raha hai
warnaa ye hijr mujhe yaad aata kyun hai
koi to hai jo chand se bhi khoobsurat hai
warnaa ye chand ab sharmaata kyun hai
koi to hai jisse dhoondh raha hai MUHSIN
warnaa ye ghazal sab ko dikhata kyun hai
koi to hai jo mere hosh leeja chuka hai
warnaa zamana mujhe samjhata kyun hai
koi to hai jis se MUHSIN ko pyaar hogaya hai
warnaa ye baar baar ghazal banata kyun hai