zindagi bas toot ke bikhar gae
abhi yahaan thi ab kidhar gae
na nazar aaya phir kuch nazar ko
tujh par jab meri ye nazar gae
musafir hi raha main ta umer
jaan meri dauraan-e-safar gae
jisne kaha "nahin hai pyaar tumse"
kyun marpe uski phir aankh bhar gae
kuch fitrat main tha us churiya ke
tabhi woh laut ke apne ghar gae
wah khudara kya din hai ye eid ka
weraan jo thi woh masjid bhar gae
naya naam diya zamane ne beparwa ka
acha huwa pehchli tuhmat utar gae
bohot derr ho chuki thi shyad tab tak
jab tujh ko meri ye khabar gae
bohot rangeen tabiyat hai apni MUHSIN
jo ab ke gulshan main jaa ke theher gae
Deewan:
Ishq-e-Mohsin