Mohsin Ayub's Poetry Collection

zakhm le kar to jaate hain par dikhana bhool jate hain
apne raazdaar ko hi haaal-e-dil sunana bhool jate hain

teri be rukhi tera taghaful ab jab bhi yaad aata hai
shayri to durr hum to muskurana bhool jaate hain

kya karen ke woh humhe dekh kar nigha pher lete hain
hum bhi kya karen ke unhe dekh kar nazar jhukana bhool jaate hain

gham-e-dil-o-gham-e-duniya jab hadd se guzarta hai
to tujhe hi yaad karte hain aur zamana bhool jaate hain

waise to woh hans ke milte hain sab se hi lekin
hum hi se kyun nazarien milana bhool jaate hain

aaj raat tu nahin hai teri yaad to maujud hai
chalo issi bahane aaj aansoo bahana bhool jaate hain

hae! marjaate hain MUHSIN us ek pal hi main
jab woh rukh pe naqaab lagana bhool jaate hain

 

Deewan:

Leave a Reply

Poetry Opinions