Mohsin Ayub's Poetry Collection

yeh shammien naa jalao ke dil udaas hai abhi
mujhe maazi naa dikhao ke dil udaas hai abhi

hai maloom mujhe sachae ke baare main sab
na jhoot jhoot muskurao ke dil udaas hai abhi

ek ishq ki aag thi dillon main ek zamane ki hai ab
naa aur koi aag lagao ke dil udaas hai abhi

gar tujh se bhi bichar gae to kaise jiyenge
khwaabon durr naa jao ke dil udaas hai abhi

hoon main kissi ke intezaar main, nahin so sakta
chandni tum soo jao ke dil udaas hai abhi

main bayaan-e-haal karon is parde main kaise
rukh se naqaab uthao ke dil udaas hai abhi

sehloo ge sab ghum to kuch naa milega MUHSIN
ye unko to bataoo ke dil udaas hai abhi

The message is ready to be sent with the following file or link attachments:
yeh shammien naa jalao ke dil udaas hai abhi

Note: To protect against computer viruses, e-mail programs may prevent sending or receiving certain types of file attachments. Check your e-mail security settings to determine how attachments are handled.

Deewan:

Leave a Reply

Poetry Opinions