Mohsin Ayub's Poetry Collection

yeh bhi meri hi ek ghazal hai
par jaane kyun naa mukamal hai

likhi thi jisne woh kabhie shayr tha
ab to bangaya woh ek paagal hai

meri tareeqi mujhe yaad dilata hai
tere paas jo siya kaajal hai

sitam mujh pe ho rahe hain duniya ke
aur bikhra huwa tera aanchal hai

nahin sunae deta is duniya ka kaha
bas goonjti kanoo main teri payal hai

pyaas lagi hai dil main na jane koi
saath samandar hai aur upar badal hai

ye kahan aagae MUHSIN rah pe chalte chalte
kya yehi woh rah hai ya ye bhi koi jangal hai

The message is ready to be sent with the following file or link attachments:
yeh bhi meri hi ek ghazal hai

Note: To protect against computer viruses, e-mail programs may prevent sending or receiving certain types of file attachments. Check your e-mail security settings to determine how attachments are handled.

Deewan:

Leave a Reply

Poetry Opinions