Woh b kya zamana tha jab koi kaam nahi tha
mai sab ka hi tha mohsin aur badnaam nahi tha
rehta tha gum sab k hi fikr e gham mai
mujhe khud to koi fikr e anjaam nahi tha
jab kaam kara karta tha mai bina muawza
pareshaan to rehta tha par pashemaan nahi tha
likhne se qabal mere ye mera dard
samne to tha sab k par sar e aam nahi tha
jab talak maine khud ko dhoondha nahi tha tujh mai
hota to tha sab mai par ronaq e shaam nahi tha
ab jane na jane woh pal kabhi ayega b mohsin
jab waqt ka gardan pe girah e laqaam nahi tha
Deewan:
Talaash-e-Mohsin