wafa tujh se ki ilzaam humhe zamaane se mile
dard humhe saare dil ki baat chupane se mile
kahan de sakta hai koi aisi raahat humhe
jo dil ki baat unhe ruh ba ruh batane se mile
hum sisakte rahe tarapte rahe taraste rahe
woh falaane se falaane se falaane se mile
khud woh aate tu meri chahat bhi kuch kehlaati
kahan maza ke woh humhe loggon ke milane se mile
ab naa juda hona jab mil hi gae ho to
kya baatien aap kitne jatan uthane se mile
chunni thi humne woh rah jo thi sab se alag
phir kyun auron ke nishane mere nishaane se mile
itna bhi naa yaad kiya karo usse MUHSIN
ke uski tasveer subah-o-shaam tere sarhaane se mile
wafa tujh se ki ilzaam humhe zamane se mile
Note: To protect against computer viruses, e-mail programs may prevent sending or receiving certain types of file attachments. Check your e-mail security settings to determine how attachments are handled.
Deewan:
Ishq-e-Mohsin