sochte sochte hi aaj ye khayaal mere dil main aaya hai
kya us shaks ko kabhie maine haal-e-dil bataya hai
kal jab tu mila to milte hi mujhe aisa laga
kyun gila karon us se jisne mujhe thukraya hai
kuch kante kuch phool jama kiye the gulshan se
phool to bant gae khud aur kaanton ko gale lagaya hai
yun to teri awaaz bhi hai mere paas teri tasveer bhi
par lagta hai jaise bas yaadien hi mera sarmaaya hai
koi rishta to zaroor ban hi gaya tha usse
jo mera naam aate hi woh dil hi dil muskuraya hai
ehtiyat-e-ishq-o-khauf-e-judaee se tu naa mil saka
phir kya kehna ke kya khoya hai kya paaya hai
ye rasm-e-dosti nahin hai chori karnaa MUHSIN
phir kyun baat kare woh tumne jis ka dil churaya hai
Deewan:
Lagan-e-Mohsin