Mohsin Ayub's Poetry Collection

naa dosti naa apni khushi ke liye
ke likh rahe hain zindagi ke liye
yun to naa aane ke hazaar bahane hain
aur milte bhi hain to do ghari ke liye
ye deewanepan ka rog to zamane ne diya hai
pagal to bane hain hum unki hasii ke liye
dil torr ke shayd woh khush hojae
yaa shayd kaaam aae roshni ke liye
tarapte the kabhie hum bhi is tarah
jaise chand tarapta hai aaj chandni ke liye
aap ab kyun humse khafa hone lage
hum to jo karte hain woh aap hi ke liye
jaane ye log kyun hangama macha rahe hain
MUHSIN to nahin kehte shair har kissi ke liye






Deewan:

Leave a Reply

Poetry Opinions