Mohsin Ayub's Poetry Collection

mujhe dekh kar bhi to muskurao kabhie
apne zulf ke badal mujh par barsao kabhie

ansoo ki tarah aao meri aankhon main
ghamoo ki tarah mere dil main utar jao kabhie

khushboo ki tarah guzroo mere aangan se
phoolon ki tarah mujh pe bikhar jao kabhie

ek baat karni hai tumse raaz ki
phir humare milne ko duhrao kabhie

itna durr se kiya tarsaya karti hoo
paas aake bhi mujhe tarpao kbhie

bechaini main raatien jaagte hain hum
apne pehloo main mere dil ko sulao kabhie

likha karte hain MUHSIN aap ke liye
tum bhi meri ghazalien gungunao kabhie

 

Deewan:

Leave a Reply

Poetry Opinions