mujh se milni ki meri jaan fariyaad naa karna
main yaad bhi aaon to mujhe yaad naa karna
mera gham hi meri shuhrat ban gaya hai
ab mujhe is gham se azaad na karnaa
bedard zamane ko hai hansne ki aadat
har kissi se meri zikr-e-rudaad naa karna
ye kehte gira hai har ansoo aankhon se
ab khush bhi huwe to dil ko shaad naa karna
is haal main to pohuncha diya aur kehti hoo
ab apni haalat to tum barbaad naa karna
mujhe apni qafas se muhabbat hone lagi hai
durr is se mujhe ab ae saiyaad naa karna
mujh se milne ki meri jaan fariyaad naa karna
Note: To protect against computer viruses, e-mail programs may prevent sending or receiving certain types of file attachments. Check your e-mail security settings to determine how attachments are handled.
Deewan:
Ishq-e-Mohsin