Mohsin Ayub's Poetry Collection

muhabbat karke socha tha ghalti ki saza paonga main
nahin socha tha ke wafa kar ke bhi bewafa kehlaonga main

is muhabbat main bhi aisa waqt aana tha
ke tera naam aate hi bewajah muskuraonga main

mere sitamgar meri wajah se naa roona kabhie
teri khushi ke liye teri mehfil se chala jaonga main

kuch majbooriyan hain jo baat adhori chordeta hoon
mere raazdaar tujhe hi to dil ki baat bataogna main

badqismati hai shayd ke khush qismati nahin milti
waada hai apni mehnat se teri qismat sajaonga main

gar gila bhi karna hai to zubaan se keh dena
warnaa ye taghaful sehte sehte to marjaonga main

zeher kha ke bhi bulaya kitni baar pyaar jataya
phir bhi gar mauqa mila to dil cheer ke dikhaonga main

kash ke kabhie muhsin woh khud hi iqraar karden
naaz saare uthaonga main sab se barkar wafa nibhaonga main

The message is ready to be sent with the following file or link attachments:
muhabbat kar ke socha tha ghalti ki saza paonga main

Note: To protect against computer viruses, e-mail programs may prevent sending or receiving certain types of file attachments. Check your e-mail security settings to determine how attachments are handled.

Deewan:

Leave a Reply

Poetry Opinions