Mohsin Ayub's Poetry Collection

majboor hoon to kya mera naam kyun hoo
jo chup ke likhe shair woh sar-e-aam kyun hoo

musfir hoon main chalte rehna hai mujhe ab to
kissi ke kehne se safar mera tamaam kyun hoo

maine us ki gali se jaana chor diya hai ab
meri wajah se koi masoom badnaam kyun hoo

tera dard mera dard bhi hai meri khushi teri
jab uspe dhoop hoo to mujh pe shaam kyun hoo

yeh bhi sahi hi kaha hai tumne shyad
"ishq jab tumne kiya to mujh pe ilzaam kyun hoo"

yeh jo ek tarfa muhabbat hai badal to nahin sakti
phir mere liye tera koi paighaam kyun hoo

nahin hai jab koi rishta tujh se mera
teri yaadon ka mere ghar main qayaam kyun hoo

The message is ready to be sent with the following file or link attachments:
majboor hoon to kya mera naam kyun hoo

Note: To protect against computer viruses, e-mail programs may prevent sending or receiving certain types of file attachments. Check your e-mail security settings to determine how attachments are handled.

Deewan:

Leave a Reply

Poetry Opinions