Mohsin Ayub's Poetry Collection

Kya ghalat aur sahi ki jang mai mubtila hun mai
kaise bataon kisi ko k aur kya kya hun mai

maine dekha nahi khud ko sabhi ki nazar se
to kaise bhala keh dun acha ya bura hun mai

jisse waqt ki hawa uraae phirti rehti hai
shyd wo berukh hi urhta huwa zarra hun mai

arsa huwa khud se mile huwe mujhe
bht dino se fursat dhondhta hun mai

kuch alfaaz hi to hain bayaan e dard e dil ko mere
aur in lafzo se to aaj bhi yuhi jura hun mai

do pal ko jo sb thehre to ye hisaab b karun
kis kis ko paya aur kise kho chuka hun mai

kabhi mujhse jo tum milo mai hi ban k mohsin
tab mujhe bhi batao kaisa banda e khuda hun mai

Leave a Reply

Poetry Opinions