Mohsin Ayub's Poetry Collection

khud ko kho kar kya paya hai aur kya paenge
ab to shayd aisa ho ke dil ki aag main jal jaenge
dard kal ke bhi kitne the jo aaj ye aur aagae
maut se gar bach bhi gae to kya is dard se bach jaenge
rashk karenge apne hi raazdaar humse kab socha tha
ab apna haal-e-dil hum naa kissi ko bataenge
gar woh nahin to naa daro in akeli raaton se
jaise pehle din kate the yeh din bhi kat jaenge
hum to khud hi jal rahe hain apne zakhmon main
yeh zamane wale humhe ab aur kya jalaenge
tujh se milne ki kuch itni aadat hojaegi kabhie
ke apne ghar jaate jaate tere ghar murjaenge
bohot naaz kiya karte the MUHSIN apni aqal pe
ab to aisa waqt hai ke log inhe hi samjhaenge







Deewan:

Leave a Reply

Poetry Opinions