Mohsin Ayub's Poetry Collection

jawab naa do mujhse koi sawaal to karo
meri aisi haalat ka kuch khayaal to karo

le ke to jaa chuke ho tum dil mera
mere dil ki tum kuch dekh bhaal to karo

ae naye dost tum bhi mere hi hojaoge
apni aankhon kabhi mere gham main laal to karo

kehte hoo ghazal likhne ko humse tum
pehle zakhm to do, aisa haal to karo

shikayatein saari durr kardenge hum bhi
humse milne koi suraat bahaal to karo

ye saari azaadi bhi qurbaan kardenge tum pe
apni zulfon ka mere chehre pe kabhie jaal to karo

sab kuch to luta bethe hain teri muhabbat main
aur tum kehte ho ke "MUHSIN koi kamaal to karo"

Deewan:

Leave a Reply

Poetry Opinions