zara aahista dhadak ae dil ke woh aarahe hain
bohot kareeb hai apni manzil ke woh aarahe hain
keh daalenge jo bhi dil main hai woh aaj
dekhien kya hota hai haasil ke woh aarahe hain
baras leena abr tu bhi unke aane ke baad
naa ban mere armaanoo ka qatil ke woh aarahe hain
suna hai woh bhi bohot tarpe hain dekhne ke liye
ab to waqt bhi hai milne ke qabil ke woh aarahe hain
khud hum kya sochien ke woh kya kya kahenge
yeh bhi ajeeb hi hai mushkil ke woh arahe hain
nikal rahe hoo tum ab bech samandar se MUHSIN
ke bas ab aaraha hai saahil ke woh aarahe hain
Deewan:
Ishq-e-Mohsin