is bedard zamane main ye kitni mehngae hai
kal jitne ki murghi thi aaj daal fry hai
aakhir ZOUQ leke jayen unhe to bhi kaise
platien dhoone main to apni hi rusawaae hai
sudhar jayenge ab hum jaise bare kehte hain
bas ab to ek yehi tarkeeb mere dil main aae hai
par us ke baap ki benz khwaabon se hi nahin jaati
tasveerien har model ki dewaaron pe lagae hai
darr to unke bhai ka bhi bohot tha kabhie lekin ab
majbooriyon ne bhaagne ki aadat bhi sikhae hai
bohot dard milta hai muhabbat main sahi suna tha
ab dekhien kal hi to unke guard se maar khae hai
kitne ajeeb hain ye logg baithe huwe ke
meri aah aah pe wah wah ki awaaz lagae hai
kya huwa hai ke soona para hai ye reading area
kahin aaj woh college aae hai ke nahin aae hai
woh jo rehte hain sukoon se unse poochna hai
aap ne kis polish se apni qismat chamkae hai
hasane baithe hain hum to unko is bazm main
warnaa humhe kya maloom ye ghazal hai ya rubae hai
Deewan:
Ishq-e-Mohsin