Mohsin Ayub's Poetry Collection

hai haal-e-dil bohot chupana mushkil
aur zubaan se bhi hai batana mushkil

jo dil naa lage to kuch bhi banana mushkil
aur phir ek jagaan main dil lagana mushkil

kya sunaen rudaad-e-husn-e-koh-e-yaar
ek baar gar gae to hai aana mushkil

kya samjhte ho tum ke hum nahin samjhte
humse baat hai bohot chupana mushkil

aise haalat se guzar huwa tha humhe
ke khush bhi hoon to muskuraana mushkil

hai mushkil bohot udhar tak pohonchna
aur idhar tak unka hai aana mushkil

ye acha hai tum roo ke bhool jate hoo
humare liye hai aansoo bhi bahana mushkil

bohot himmat chahiye naam unka leke ko
haan mushkil hai unhe bulana mushkil

kab socha tha itne imtihaan honge
ye wafa bhi bohot hai nibhana mushkil

naa bichre koi yaa rab kissi se
kyunkii bichron ko hai milana mushkil

sunate rehte hain anjaam-e-tark-e-ishq
par humhe bhi to hai darana mushkil

bolte rahiye shyad aap kamiyab hojaen
waise humhe hai bohot samjhana mushkil

Deewan:

Leave a Reply

Poetry Opinions