do ansoo meri yaad main bahaa jaate to kya jaata
chand kaliyan lash par bichaa jaate to kya jaata
aye ho mayyat par sanam oorh kar naqaab tum
woh chand sa mukhra dikha jaate to kiya jaata
poochte the log tumse kiska hai janaazaa yeh
marne wala kaun tha tumhara bata jaate to kya jaata
tarap raha tha tumhare ahsaas ko marte dam
kafan pe aanchal bicha jaate to kya jaata
sab ke saamne meri ulfat ko kar diya ruswaa
meri mayat pe hi muskuraa jaate to kya jaata
har zakhm ne mere tumhe di hain duaayen sadaa se
ek baar seene se lagaa jaate to kya jaata
margaya MUHSIN yaad kar kar ke tumhe raat bhar
tum bhi sarhaane ek chiraagh jaala jaate to kiya jaata
do ashq meri yaad main
Note: To protect against computer viruses, e-mail programs may prevent sending or receiving certain types of file attachments. Check your e-mail security settings to determine how attachments are handled.
Deewan:
Kalaam-e-Mohsin