bas ik jhijhak hai yahi haal-e-dil sunaane mein
ke tera zikr bhi aayega mere fasaane mein
baras padi thi jo rukh se naqaab uthaane mein
vo chandani hai abhi tak mere dil ke gharane mein
jis mein ishq kii qismat badal sakatii thi
jo vaqt bit gayaa mujh ko aazamaane mein
ye kah ke toot pada shaakh-e-gul se aakhirii phool
ab aur der hai kitni bahaar aane mein
duniya ne thukraya ruswaee milli har jagan
par ab bhi junoon hai baaqi is dewane main
bohot sabar talab hai ye ishq apna MUHSIN
aisa ke rahen aur naa piye kuch mehkhane main
bas ik jhijhak hai yehi haal-e-dil sunane main
Note: To protect against computer viruses, e-mail programs may prevent sending or receiving certain types of file attachments. Check your e-mail security settings to determine how attachments are handled.
Deewan:
Kalaam-e-Mohsin