Mohsin Ayub's Poetry Collection

agar kabhie meri yaad aae

to mujhe wahan naa dhoondhna jahan mela sa hoo
bas talash karna mujhe us chand main jo akela sa hoo

us asmaan pe jahan har tarah ka sitara hoo
par chand ke paas naa koi bhi sahara hoo

jo kabhie suno to sunna dastaan-e-haal uski
gar hoti to zaroor hoti aankh laal uski

kabhie aana paas to dekhna dhaagh uska
ranjishon main dooba hoga dil-o-dimaagh uska

agar kabhie meri yaad aae

to chand main aaegi jhalak tumhe nazar meri
jab kabhie mille gi kahin se khabar meri

agar kabhie meri yaad aae

to apne paas ke chiraagh to dekhna
us main kahin mere suraagh ko dekhna

nazar aaega shamma ke paas ek parwana tumhe
yaad aaega mujh sa hi ek dewana tumhe

dekhna woh parwana ussi shamma main jal gaya hoga
mat sochna ke MUHSIN kabhie khud bhi samhal gaya hoga

mujhe lagii tumhare har ek pyaas hogi
dil ko tum se milne ki ek aas hogi

agar kabhie meri yaad aae

mujh se milne ussi mor par tum aajana
aur mere hi kisse ussi tarah se mujhe sunana

par shayd ke ab ye mumkin nahin
ke main duniya walon main shamil nahin

khaak banke bhi main tumhe sunta rahonga
ghaam tumhare saare chunta rahonga

agar kabhie meri yaad aae

do ansoo baha dena meri yaad ke liye
kuch sila hoga meri mohabbat ki faryaad ke liye

ab aana to zulfon ko yun khol kar mat aana
warnaa aur baddua de ga mujhe ye jala zamana

meri yaad main ek chiragh jala ke rakhna
woh adhori tasveer phir se bana ke rakhna

agar kabhie meri yaad aae

to samandar main dekhna jahan ek jahaan hoga
wahin aansooon ka mera banaya huwa makaan hoga

agar waqt mille to ghar aana zaroor ek baar
ke khatam ho tumhare aana ke intezaar

agar kabhie dekho to mere saare kalaam dekhna
aur us main chupa huwa tum apna hi naam dekhna

jo dekhna to kabhie meri shairy ki kitaab dekhna
aur dekhna to us main tumhara diya gulaab dekhna

dekhna kis tarah se maine usse samhaal rakha hai
dekhna ke kis tarah se yaadon ka khayaal rakha hai

gar aao kabhie to apni payaal dekhna
aur ussi pe likhi tum ghazal dekhna

dekhna ke tumhari yaadon ko kis tarah sajana hai
darwaaze pe tumhare qadam ka nishaan bhi na mitne paya hai

agar kabhie meri yaad aae

to yaad rakhna MUHSIN bhi tumhe bohot yaad kiya karte the
tumhare yaadon ke sahare hi ye jiya karte the

yaad rakhna ke maine wafa ko nibhaya tha
jaahan tak hoo saka is ishq ko chalaya tha

par hum kaise is ishq ki abiteda karte
duniya walon ke aage kyun hum iltija karte

ab milne ki koshish karonga main tumhe khwaabon main
jis tarah mila karta tha main tumhe azaabon main

kajal se ab naa mera tum kabhie naam likhna
haan meri shayri ka tum zaroor ye payaam likhna

karo ishq to MUHSIN ki tarah hi kiya karna
mar mar ke bhi yaadon main un ki jiya karna

The message is ready to be sent with the following file or link attachments:
agar kabhie meri yaad aae

Note: To protect against computer viruses, e-mail programs may prevent sending or receiving certain types of file attachments. Check your e-mail security settings to determine how attachments are handled.

Deewan:

Leave a Reply

Poetry Opinions