Mohsin Ayub's Poetry Collection

ab uski gali main main jaon ke nahin
is kalish ko apni ab chupaon ke nahin
bethi hai woh saamne aur main sochta hoon
jo likhi hai ghazal woh sunaon ke nahin
lagta hai ye gulaab use dene ke liye bana hai
ye baat ab usko bataon ke nahin
ye dil jo apni nae rah pe chal raha hai
apne hi dil ko main bachon ke nahin
woh khat jis pe iqrar-e-pyaar kiya tha
wohi kaaghaz ab usko dikhaon ke nahin
aap karte hain pyaar to bada dijiye
ke khuda ke aage aur girgiraon ke nahin
bohot bechain karta hai ye naqaab unka
sochta hoon is parde ko uthaon ke nahin
itna to rok chuke hain usko marne se
ab aur MUHSIN ko samjhaon ke nahin








Deewan:

Leave a Reply

Poetry Opinions